Ghazal

  Ghazal



Jis din se Khmoshi hui aawaz hamaari

Gum ho gai SeHraoN meN aawaaz hamari



Pataal meN to aaj hamaiN dekhh rahe ho

Dekhhi nahiN aflaak pe parwaaz hamaari



Gum hote gaay neend ki wadi meN kahiN hum

Go neend bhi ho paai na aaghaz hamari



Dar is ka agar wa ho kisii or jahaaN meN

Deewar na ho phir nazar andaaz hamari



Aao k nae aks ki tnzeem kareN hum

Herat na rahe aaina pardaz hamari



Socha tha k ik dasht ko seraab kareN ge

Be kar gai haay! tag o taaz hamari



Hum bargahe waqt ke Mehmood the Ashraf

karta tha parastish kabhi Ayyaz hamari








Aaj jaane ki zid na karo

Yunhi pehloo mein baithe raho

Aaj jaane ki zid na karo

Haay mar jaayenge, hum to lut jaayenge

Aisi baatein kiya na karo

Aaj jaane ki zid na karo



Tum hi socho zara, kyun na roke tumhe

Jaan jaati hai jab uth ke jaate ho tum

Tumko apni qasam jaan-e-jaan

Baat itni meri maan lo

Aaj jaane ki zid na karo



Waqt ki qaid mein zindagi hai magar

Chand ghadiyan yehi hain jo aazad hain

Inko khokar mere jaan-e-jaan

Umr bhar na taraste raho

Aaj jaane ki zid na karo



Kitna maasoom rangeen hai yeh sama

Husn aur ishq ki aaj mein raaj hai

Kal ki kisko khabar jaan-e-jaan

Rok lo aaj ki raat ko

Aaj jaane ki zid na karo



Yunhi pehloo mein baithe raho

Aaj jaane ki zid na karo

Haay mar jaayenge, hum to lut jaayenge

Aisi baatein kiya na karo

Aaj jaane ki zid na karo









Chahat mai mughe jaan se jane nahi deta

Banti hai magar baat banane nahi deta

Darya hai to kyu pyaas bhujane nahi deta

Sehra hai to kyu jaan jalane nahi deta

Wo phenk bhi deta hai mughe kaat k khud se

Phir or kisi ko uthane bhi nahi deta

Her pal wo rakhe hath mai ehsan ka phanda

Bin pochey nai sans bhi ane nahi deta

Jis dil mai bhi bas jaye faqat naam tera 

Phir sir ko kahi or tu jhukane bhi nahi deta.

Posted By : Sehar















Na kah saaqii bahaar aane ke din hain 

Jigar ke daaG chhil jaane ke din hain 



Adaa  siku  adaaney  ke  din  hain 

Abhii tu dur sharmaane ke din hain 



Garebaan  DhuuNdhate  hain  haath  mere 

Chaman men phuul khil jaane ke din hain 



Tumhen raaz-e-muhabbat kyaa bataayen 

Tumhare  khelane  khaane ke din hain 



Ghataayen  uudi   uudi kah  rahii hai 

Mey-e-anguur khinchavaane ke din hain 






Pura dukh aur aadha chaand

Hijr ki shab aur tanha chaand



Din mein wehshat behel gayi thi

Raat hui aur nikla chaand



Kis maqtal se guzra hoga

Itna sehma sehma chaand



Yaadon ki abaad gali mein

Ghoom raha hai tanha chaand



Meri karwat per jaag uthey

Neend ka kitna kachha chaand



Mere mu ko kis hairat se

Dekh raha hai bhola chaand



Itney ghaney baadal ke peechay

Kitna tanha hoga chaand



Aansu roke noor nahaaye

Dil dariya, tann sehra chaand



Itne roshan chehre per bhi

Suraj ka hai saya chaand



Jab paani mein chehra dekha

Tuney kisko socha chaand



Bargad ki aik shaakh hata ker

Jaaney kisko jhaanka chaand



Baadal ke resham jhooley mein

Bhor samey tak soya chaand



Raat ke shaanon per sar rakhey

Dekh raha hai sapna chaand



Sookhay patton ke jhurmat per

Shabnam thi ya nanha chaand



Haath hila ker rukhsat hoga

Uski surat hijr ka chaand



Sehra sehra bhatak raha hai

Apne ishq mein sacha chaand



Raat ke shayed aik bajey hain!

Sota hoga mera chaand 









No comments:

Post a Comment